03 July 2023

Daaman Bichad Ke Tujhse Bhigona Nahin Pada ! Jhoota Hoon Kah Raha Ki Rona Nahin Pada !! Shair :- Saif Babar (Mohd Saif Babar) +91 9936008545

Hazir Hai Ke Baad Ab Blog Par

Facebook Link :- Facebook https://m.facebook.com/story.php?story_fbid=5673936319369027&id=100002581445786&mibextid=ZbWKwL
Aapke Shayar Dost Saif Babar @ Mohd Saif Babar Ki Ye Taaza Ghazal Urdu/Hindi
दामन बिछड़ के तुझसे भिगोना नहीं पड़ा 
झूटा हूँ कह रहा हूँ कि रोना नहीं पड़ा 

हालात के भँवर में फँसे तो रहे मगर 
किरदार का सफ़ीना डुबोना नहीं पड़ा 

इस काम के लिए तो थे काफ़ी ग़रीब ही 
रुसवा अमीरे शहर को होना नहीं पड़ा 

ग़म से तुम्हारे हम हैं कि सहरा में भी कभी 
रुसवा जो हंस दिए भी तो होना नहीं पड़ा 

बेचैन ख़ैर ! तुम ही अकेले तो हो नहीं 
सुख चैन किसको इश्क़ में खोना नहीं पड़ा 

कमबख़्त शाइरी का जिसे फ़न हुआ नसीब 
फिर "सैफ़" उम्र भर उसे सोना नहीं पड़ा 
शाइर 
सैफ़ बाबर 
(Mohd Saif Babar)
+91 9936008545 

دامن بِچھڑ کے تجھسے بھی بھِگونا نہیں پڑا
جھوٹا ہوں کہہ رہا ہوں کہ رونا نہیں پڑا

حالات کے بھنور میں پھنسے تو رہے مگر
کردار کا سفینہ ڈبونا نہیں پڑا

اِس کام کے لیے تو تھے کافی غریب ہی
رُسوا امیرِ شہر کو ہونا نہیں پڑا

غم سے تمھارے ہم ہیں کہ صحرا میں بھی کبھی 
رُسوا جو ہنس دیے بھی تو ہونا نہیں پڑا

بے چین خیر ! تم ہی اکیلے تو ہو نہیں
سُکھ چین کِس کو عشق میں کھونا نہیں پڑا

کم بخت شاعری کا جسے فن ہوا نصیب
پھِر "سیف" عمر بھر اُسے  سونا نہیں پڑا
شاعر
سیف بابر 
(محمد سیف بابر)
+91 9936008545

Chand Se Door Hain Magar Ay Dil ! Chandni Raat Bhar Humarai Hai !! Shair :- Saif Babar (Mohd Saif Babar) +91 9936008545

चाँद से दूर हैं मगर ऐ दिल
चांदनी रात भर हमारी है
सैफ़ बाबर
(मोहम्मद सैफ़ बाबर) 
چاند سے دور ہیں مگر اے دل
چاندنی رات بھر ہماری ہے
شاعر
سیف بابر
(محمد سیف بابر) 
Chand Se Door Hain Magar Ay Dil
Chandni Raat Bhar Humarai Hai
Shair
Saif Babar
Mohd Saif Babar
+91 9936008545 
Apne Majmua e Kalaam Majbooriyo Aisi Hain... (2002) Se Aaj Ye Sher Majmua Aur Poori Ghazal Rekhta Par Dekh Sakte Hain Ye Ghazal Tariban 28 Baras Pahle Kahi Thi Jise 2002 Mein Majmuua E Kalaam Majbooriyon Aisi Hain.... Mein 21 Baras Pahle Shamil Kiya

14 June 2023

Munfarid Sher Ik Song Ke Liye

Juda Jo Tumse Hue To Humari Aankhon Se
Bahe Wo Ashak Ki Darya Ke Darya Doob Gaye

Shair

Saif Babar

(Mohd Saif Babar)
+91 9936008545
.... 

Ab Aa Gaii Hai To Ye Jaan Leke Jayegi

Tumahri Yaad Bhi Bilkul Tumhare Jaisi Hai

ShairSaif Babar

(Mohd Saif Babar)
+91 9936008545
...
Jo Zakhm De Ke Gaii Ho Wo Aake Gin Detin
Kabhi To Aake Miri Jaan Mujhse Mil Letin
Shair
Saif Babar
(Mohd Saif Babar)
+91 9936008545
(या)...

Jo Zakhm Tune Diye Hain Gine Nahin Jate
Kabhi To Aake Mira Haal Pooch Lo MujhseShair

Saif Babar
(Mohd Saif Babar)
+91 9936008545
....

Bas Ek Baar Tujhe Dekh Loon To Teri Kasam

Mare The Jaise Kabhi Tujh Pe Waise Mar Jaoon
Shair
Saif Babar
(Mohd Saif Babar)
+91 9936008545
.... 

23 May 2023

Qawwali For Annu Kapoor Film Send To Iliyas Khan Through Watsapp on Monday 22 May 2023 At 12.01Am, 12.04Am, 12.05 Am And Add With Qawwali Portion At 1.58 Am With Typing Corrections Portions

Badi Dilkash Badi Qatil Hasinon Ki Nazar Hai Ye
Yehi Hai Ishq Ki Rahen Ki Khawabon Ka Safar Hai Ye

Hai Jab Tak Dil JawaN Tab Tak Jawani Zinda Rahti Hai
Nahin Marti Mohabbat Ki Kahani Zinda Rahti Hai
Mohabbat Ki Dagar Par Chal Pade Hain Mud Ke Kya Dekhen
Parinde AasmaN Par Ishq Ke Ab Mud Ke Kya Dekhen
Sharabon Se Hai Kya Lena Ye May Kis Kaam Ki Mere
Kisi Ki Mast Nazron Ka Hua Mujh Par Asar Hai Ye

Badi Dilkash Badi Qatil Hasinon Ki Nazar Hai Ye
Zara Thoda Sanbhal Kar Chal Mohabbat Ki Dagar Hai Ye

(2)
Ye Dil Ghalti Na Kar Baithe Jawani Mein Ye Dar Kaisa
Mohabbat Ki Are NaadaN Kahani Mein Ye Dar Kaisa
Hazaron Baar Chahat Ki Dagar Se Hum To Guzrenge
Zamana Kuch Bhi Kar Le Dil Mein Jo Hai Kar Ke Guzrenge
Hamesha Ishq Takraya Hai Is Zalim Zamane Se
Samjhti Kya Hai Ye Dunya Ki Ashiq Ka Jigar Hai Ye

Badi Dilkash Badi Qatil Hasinon Ki Nazar Hai Ye
Zara Thoda Sanbhal Kar Chal Mohabbat Ki Dagar Hai Ye

Shair/Lyricist
Saif Babar
(Mohd Saif Babar)
+91 9936008545
107/44, Baisi Ki Masjid, Nipendra Sanyal Road Lucknow-226001 (UP)

Add With Qawwali... (1)

Bhatakta Jata Tha Sahra Mein Ek Din  Majnu
Ada Namaz Wahan Kar Raha Tha Shakhs Koi
Wo Samne Se Tabhi Be Khayali Mein Uske
Nikal Gaya To Wo Naraz Hoke Kahne Laga

Namaz Padhta Namazi Nazar Nahi Aata
Diwane Dil Mein Khuda Ka Kya Dar Nahin Aata
Main Padh Raha Tha Namaz Aur Samne Se Mire
Gunahagar Bata Tu Guzar Gaya Kaise
Jawab Majnu Ka Kya Lajawab Aaya Phir
Kaha Diwane Ne Ay Hosh Mand Tu Ye Bata
Banaya Laila Ko Jisne Tu Us Khuda Ki Agar
IbadatoN Mein Jo Gum Tha To Main Dikha Kaise
To Phir Ye Aashiqe Laila Se Hai Shikayat Kya
Mujhe To Ishq Mein Laila Ke Kuch Dikha Hi Nahin
Idhar Bhi Laila Udhar Bhi Humari Laila Hai
Jidhar Bhi Dekhun Udhar Hi Humari Laila Hai

Na Sirf Dunya Wahan Tak Humari Jaan Hai Wo
Yahan Bhi Laila Wahan Bhi Humari Laila

Laila Laila Laia Laila Laila

Shair/Lyricist
Saif Babar
(Mohd Saif Babar)
+91 9936008545
107/44, Baisi Ki Masjid, Nipendra Sanyal Road Lucknow-226001 (UP)

Add With Qawwali.... (2)

Namaz Padhta Namazi Nazar Nahi Aata
Diwane Dil Mein Khuda Ka Kya Dar Nahin Aata
Main Padh Raha Tha Namaz Aur Samne Se Mire
Gunahagar Bata Tu Guzar Gaya Kaise
Jawab Majnu Ka Kya Lajawab Aaya Phir
Kaha Diwane Ne Ay Hosh Mand Tu Ye Bata
Banaya Laila Ko Jisne Tu Us Khuda Ki Agar
IbadatoN Mein Jo Gum Tha To Main Dikha Kaise
To Phir Ye Aashiqe Laila Se Hai Shikayat Kya
Mujhe To Ishq Mein Laila Ke Kuch Dikha Hi Nahin
Idhar Bhi Laila Udhar Bhi Humari Laila Hai
Jidhar Bhi Dekhun Udhar Hi Humari Laila Hai

Na Sirf Dunya Wahan Tak Humari Jaan Hai Wo
Yahan Bhi Laila Wahan Bhi Humari Laila

Laila Laila Laia Laila Laila

Shair/Lyricist
Saif Babar
(Mohd Saif Babar)
+91 9936008545
107/44, Baisi Ki Masjid, Nipendra Sanyal Road Lucknow-226001 (UP)