23 May 2023

Qawwali For Annu Kapoor Film Send To Iliyas Khan Through Watsapp on Monday 22 May 2023 At 12.01Am, 12.04Am, 12.05 Am And Add With Qawwali Portion At 1.58 Am With Typing Corrections Portions

Badi Dilkash Badi Qatil Hasinon Ki Nazar Hai Ye
Yehi Hai Ishq Ki Rahen Ki Khawabon Ka Safar Hai Ye

Hai Jab Tak Dil JawaN Tab Tak Jawani Zinda Rahti Hai
Nahin Marti Mohabbat Ki Kahani Zinda Rahti Hai
Mohabbat Ki Dagar Par Chal Pade Hain Mud Ke Kya Dekhen
Parinde AasmaN Par Ishq Ke Ab Mud Ke Kya Dekhen
Sharabon Se Hai Kya Lena Ye May Kis Kaam Ki Mere
Kisi Ki Mast Nazron Ka Hua Mujh Par Asar Hai Ye

Badi Dilkash Badi Qatil Hasinon Ki Nazar Hai Ye
Zara Thoda Sanbhal Kar Chal Mohabbat Ki Dagar Hai Ye

(2)
Ye Dil Ghalti Na Kar Baithe Jawani Mein Ye Dar Kaisa
Mohabbat Ki Are NaadaN Kahani Mein Ye Dar Kaisa
Hazaron Baar Chahat Ki Dagar Se Hum To Guzrenge
Zamana Kuch Bhi Kar Le Dil Mein Jo Hai Kar Ke Guzrenge
Hamesha Ishq Takraya Hai Is Zalim Zamane Se
Samjhti Kya Hai Ye Dunya Ki Ashiq Ka Jigar Hai Ye

Badi Dilkash Badi Qatil Hasinon Ki Nazar Hai Ye
Zara Thoda Sanbhal Kar Chal Mohabbat Ki Dagar Hai Ye

Shair/Lyricist
Saif Babar
(Mohd Saif Babar)
+91 9936008545
107/44, Baisi Ki Masjid, Nipendra Sanyal Road Lucknow-226001 (UP)

Add With Qawwali... (1)

Bhatakta Jata Tha Sahra Mein Ek Din  Majnu
Ada Namaz Wahan Kar Raha Tha Shakhs Koi
Wo Samne Se Tabhi Be Khayali Mein Uske
Nikal Gaya To Wo Naraz Hoke Kahne Laga

Namaz Padhta Namazi Nazar Nahi Aata
Diwane Dil Mein Khuda Ka Kya Dar Nahin Aata
Main Padh Raha Tha Namaz Aur Samne Se Mire
Gunahagar Bata Tu Guzar Gaya Kaise
Jawab Majnu Ka Kya Lajawab Aaya Phir
Kaha Diwane Ne Ay Hosh Mand Tu Ye Bata
Banaya Laila Ko Jisne Tu Us Khuda Ki Agar
IbadatoN Mein Jo Gum Tha To Main Dikha Kaise
To Phir Ye Aashiqe Laila Se Hai Shikayat Kya
Mujhe To Ishq Mein Laila Ke Kuch Dikha Hi Nahin
Idhar Bhi Laila Udhar Bhi Humari Laila Hai
Jidhar Bhi Dekhun Udhar Hi Humari Laila Hai

Na Sirf Dunya Wahan Tak Humari Jaan Hai Wo
Yahan Bhi Laila Wahan Bhi Humari Laila

Laila Laila Laia Laila Laila

Shair/Lyricist
Saif Babar
(Mohd Saif Babar)
+91 9936008545
107/44, Baisi Ki Masjid, Nipendra Sanyal Road Lucknow-226001 (UP)

Add With Qawwali.... (2)

No comments:

Post a Comment