12 July 2009

be khaof ghar se niklen salamat hi ghar mein aayen -Shair -Mohd Saif Babar

ग़ज़ल

बेखौ़फ़ घर से निकलें सलामत ही घर में आएं !
बच्चे बुरी बलाओं से हम सबके बच ही जाएं !!
नफ़रत की आग शहर में फैली है हर तरफ़ !
जंगल में चलिए चलके मुहब्बत के घर बनाएं !!
खु़शबू नही हवाओं में घुलता है अब धुआँ !
चल मेरी ज़िन्दगी कहीं दुनिया नई बसाएं !!
दीवारें मैंने सच की गिरा दीं हैं इस लिए !
पत्थर किसी तरफ़ से मेरे घर में अब न आएं !!
बेहतर है घर में बैठी रहें बेटियाँ जनाब !
रिश्ते मगर लुटेरों के हरगिज़ न धर में आएं !!
घोला है आपने जो ये माहोल में ज़हर !
इसके शिकार आप भी एक रोज़ हो न जाएं !!
दीवार गिर रही है अगर ज़ुल्म की तो "सैफ" !
इंसानियत के जितने भी दुश्मन हैं दब ही जाएं !!

GHAZAL
Be Khauf Ghar Se Niklen Salamat hi Ghar Mein Aayen!
Bachche Buri Balaon Se Hum Sabke Bach Hi Jaayen!!
Nafrat Ki Aag Shahar Mein Phaile Hai Har Taraf!
Jangal Mein Chaliye Chal ke Mohabbat ke Ghar Banayen!!
Khushboo Nahi hawaon Mein udta Hai Ab Dhuwan!
Chal Mere Zindigi kahin Duniya nai Basayen!!
Diwaren Meine Sach Ki Gira Deen Hain Is Liye!
Pathar Kisi Taraf Se Mere Ghar Mein Ab Na Aayen!!
Behtar Hai Ghar Mein Baithe Rahen Betiyan Janab!
Rishte Magar Loteron Ke hargiz na Ghar mein Aayen!!
Ghola Hai aapne Jo Ye Mahol Mein Zahar!
Iske Shikar Aap Bhi Ek Roz Ho Na Jaayen!!
Diwaar Gir Rahi Hai Agar Zulm Ki to "Saif"!
Insaniyat Ke Jitne Bhi Dushman hain Dab Hi Jaayen!!
Shair - Mohd Saif Babar, Lucknow. Mobil No:-(+91) 9936008545.

4 comments:

  1. "be khouf ghar se niklen salamat hi ghar mein aayen" aapki ye ghazal lajawaab hai saif sahab,loksangharsha blog aur magzeen par qata dekha tha besabree ke saath intezar tha poori ghazal ka,maza aa gaya ana khan n.delhi

    ReplyDelete
  2. be khaof ghar se niklen salamat hi ghar mein aayen......बेखौ़फ़ घर से निकलें सलामत ही घर में आएं.... "saif" ji aapki is ghazal ki jitne prashansh ki jaaye kam hai,aapko is ghazal ke liye main hardik badhai deta hoon aap hamare priye shair hain, shubhkamnaon ke saath aapka prashansak- sumet

    ReplyDelete
  3. be khouf ghar se niklen salamat hi ghar mein
    aayen....."BE KHAOF GHAR SE NIKLEN SALAMAT HI GHAR MEIN AAYEN! BACHCHE BURI BALAAON SE HUM SAB KE BACH HI JAAYEN!! Mohd Saif Babar Sahab yaqeen Maneye Aapke blog Par Aapki Ye Ghazal Dekh Kar bahot Khushi Hui Hum Aapko Mushairon Mein Aur Albums Ke Zariye Abtak Sunte rahen hain Aap Hamare pasandida shair Hain Hum Aapke Sare Albums Jinme Aapki Ghazalen Hain Hamare Paas Hain Aur Bahot Hi Shaoq Se Sunte Rahte Hain, Ab Khushi Is Baat Ki Hai Ki aapka Taza Kalaam aapke Blog Ke Zarye Bhi Hum Tak Pahocta Rahega,Janab mohd saif babar Sahab Humne aapke Blog Par Aapna Comment Post Kiya tha Jo aapke Blog Par Shaya Bhi Hoa Hai Magar Jee Nahi Mana Aur Tafseel Ke Saath Ek Baar Phir Main Comment Post Kar Rahi hoon, Blog par Shamil Karne Ki Meherbaani farmaaen.Ana Khan, NEW Delhi.

    ReplyDelete