03 July 2009

aapke haathon mein mustaqbil hai hindostan ka -ghazal by mohd saif babar

ग़ज़ल
ये समंदर और ये साहिल है हिन्दोस्तान का !
जान है हिंदोस्ताँ की दिल है हिन्दोस्तान का !!
आप चाहें तो बना दें स्वर्ग हिन्दोस्तान को !
आपके हाथों में मुस्तक़बिल है हिन्दोस्तान का !!
मेरे दिल में सिर्फ़ हिन्दोस्तान है लिख्खा हुआ !!
चीर कर सीना दिखा दूँ दिल है हिन्दोस्तान का !!
खेल के मैदां से लेकर इल्म के मैदान तक !
ऐ जहाँ हर नौजवां काबिल है हिन्दोस्तान का !!
"सैफ" नेहरू जी से लेकर आजतक संसार में !
अमन की जानिब क़दम माईल है हिन्दोस्तान का !!
GHAZAL
Ye Samandar Aur Sahil Hai Hindostan ka!
Jaan Hai HindostaN ki dil Hai HIndostan ka!
Aap Chahen To Bana Dein Swarg Hindostan ko!
Aapke Hathon Mein Mustaqbil Hai Hindostan Ka!!
Mere Dil Mein Sirf Hindostan Hai Lakhkha Hua!
Cheer Kar Sina Dikha Doon Dil Hai Hindostan Ka!!
khel ke MaidaN Se Lekar Elm Ke Maidan Tak!
Aye Jahan Har Navjawan Qabil Hai Hindostan Ka!!
"Saif" Nehru Ji Se Lekar Aaj Tak Sansaar Mein!
Aman Ki Janib qadam Maeyl hai Hindostan Ka!!


shair- mohd saif babar,Lucknow. (+91)9936008545

3 comments:

  1. Very nice shayeri... there are only few who can write such a beautiful poetry on country.

    ReplyDelete
  2. Really very nice shaire of Mohd Saif Babar about india "jaan hai hindostaN ki dil hai hindostan ka" Thanks ovais for informing about Mohd Saif Babar's shaire.
    Shahana, New Delhi.

    ReplyDelete
  3. "ye samandar aur sahil hai hindostan ka" aapki ye ghazal aapki watanparasti ka aaena hai saif sahab, aur is ghazal ka ye sher "aapke haathon mein mustaqbil hai hindostan ka....." watan ki bhalai ke liye aapki fikar ko zahir karta hai ana khan. n delhi

    ReplyDelete