21 July 2009

Na Ab Ghalib Koi Hoga Na Koi Meer Ab Hoga.......Shair Mohd Saif Babar

QATA
Na Ab Ustad Hi Unsa Na Unsa Peer Ab Hoga!
Na Ab Waise Kaman Hogi Na Waisa Teer Ab Hoga !!
Sadi Wo Bhi Unhi Ki Thi Sadi Ye Bhi Unhi Ki Hai !
Na Ab Ghalib Koi Haga Na Koi Meer Ab Hoga


Shair- Mohd Saif Babar(+91)9936008545

1 comment:

  1. Paigham aapke Naam
    Sabse Pahle Main Un Chahane Waalon Ka Shukriya Ada karna Chahata Hoon Jin Logon Ne Mere Blog Par Mere Kalaam Ko Saraha Aur Apne Comments ke zareye Mere Hausla Afzaae ki,Abhi Tak Hamara kalaam Aap Tak Mushairon,Ghazal Albums, Aur TV Shows Ke Zareye pahocta Raha Hai, mohtram Doston Mere Kuch Ghazalen Jaise "Khuda Kare Ki Wo Mera Nasib Ho Jaaye......,Tum Samne Mere Ho Mushkil Hai Sanbhal pana.............,Majbooriyaan aisi Hain............,Khawaab aankhon Mein Kaise...... Maqbool Hue Aur Aap Tak Pahochi Tow Aapko Ma'loom Hona Chahiye Ke Isme Shahansha E Ghazal USTAD AHMAD HUSSAIN USTAD MOHAMMAD HUSAIN Sahab Ke Inayaat Aur Unki Hausla Afzaaee Allha Ke Karam se Mere Saath Rahi Ise Tarah Khuda Kare...... Aur Tum samne Mere.... Ki Maqbooliyat Mein Mohammad Vakil Sahab Ne Char Chand Laga Diyen Hain Unka Album "GUZARISH"Aur SHAAM E GHAZAL"Maqbooliyat ki Buladiyon ko Chhoo raha Hai, Sath Hi Sath mashoor Music Directar MANJU NARAIN SAHIBA Ka Bhi Hamare Shaire Ko Aap Tak Pahochne Mein ayek Bahot Bada Rol Raha Hai Mein Hamesha Inlogon Ka Shukrguzaar Rahoonga. Rahi Baat Mushairon ki To Jis Mohabbat Se Log Mujhe Sunte hain aur Pasand Karte Hain Main Un Chahane Waalon ka Bhi Shukrguzaar Hoon.Inshallha Bahot Jald Mere Naghme Aap Tak Films Ke Zareye aayen Intezaar Karen aur Duago Rahen Apne Shair Apne dost Mohd Saif Babar Ke Liye, Aur Haan Sunte Rahen Mere Likhe Naghme,Sunte Aur Bulate rahen Khuloos Ke Saath Mushairon Mein Aur dekhte Rahen Blog.
    aapka Shair Dost Mohd Saif Babar

    ReplyDelete